Sugra Watan Mein Roti Hai Jhula Jhula Ne Ke Leye
Asghar Ka Jhula Khali Hai Ansu Bahane Ke Leye
Halmeen Kaha Jab Shaha Ne Haq Ko Bachane Ke Liye
Asghar Sidare Ran Ki Taraf Gardan Chidane Ke Liye
Pyasa Hai Ye Dil Bar Mera Fouj-e-adu Se Shai Ne Kaha
Qaime Se Hum Le Aaye Hai Pani Pilane Ke Liye
Jab Ye Kaha Shabbir Ne Pheri Zuban Besheer Ne
Besheer Ka Wo Vaar Tha Sub Ko Rulane Ke Liye
Kya Sang Dil Tha Hurmula Bache Ko Mara Be-Qata
Qabil Tha Kya Vo Nanha Gala Navak Chalane Ke Liye
Nanha Saluka Chota Sa Kurta Chota Amama Ankho Me Surma
Maa Ne Sajaya Pyar Se Maidan Me Jane Ke Liye
Lashe Ko Haatu Par Leye Mazher Shaheedi Ne Kaha
Bhaiya Taraye Se Uth Ke Aao Turbat Banane Ke Leye