Zalimo Zara Socho Jo Tum Ne Mitayi Hai
Tasweere Mohammed Hai Laila Ki Kamayi Hai
Shabbir Bhala Dekhe Kistarha Se ye Manzar
Akbar Ke Kaleje Me Barchi Jo Darayi Hai
Zainab Ne Kaha Baba Jald Aao Madad Karne
Hai Laash Jawan Ran Me Tanha Mera Bhai Hai
Peeri Ka Sahara Tha Jo Sibte Payamber Ki
Barchi Ushi Meh-Ru Ko Aada Ne Lagayi Hai
Kahte The Shahe Wala Aada Se Ye Ro-Ro Ke
Nana Ki Mere Tum Ne Tasweer Mitayi Hai
Zainab Ka Dil Wo Jaan Hai Athara Baras Ka
Tashna-Labi Pa Uski Har Aankh Bhar-Ayi Hai
Zainab Ne Kaha Bhaiya Qaime Se Mai Aati Hu
Ab Teri Madad Mai Karne Bete Hai Na Bhai Hai
Ta-Umr Kabhi Laila Saaye Me Na Baithegi
Zalim Ne Kaleje Me Wo Aag Lagayi Hai
Peeri Me Uthayi Hai Jo Laash-e-Jawan Mazhar
Shabbir Ki Himmat Par Hairan Khudayi Hai