Kanz e Aza

THA RAN ME SHEH KA YE NOHA MERE ALI AKBAR HUSSAIN HOGAYA TANHA MERE ALI AKBAR

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Mir Raza Ali Sohail and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Jo ran se Akbar e Mehru ki Shah ko pohnchi sada

Zaeef Baap ne haatho'n se Dil ko Thaam liya

Ye keh ke rukh kiya phir Shaahe di'n ne maidan ka

Sada do Mujh ko Aye BetaMere Ali Akbar


Har ek gaam pa ruk ruk ke haath Malte the

Kabhi Sambhalte the Girte the phir Sambhalte the

Sada ye Dete huwe ran ki simt Chalte the

Dikhaai kuch nahi'n deta Mere Ali Akbar


Pohachke ran me jo Dekha Wo khoo'n bhara manzar

Gira ke Shaah ne Khud ko Jawa'n ke Laashe par

Kaha ye kaisi qayamat guzar gayi Dilbar

Tha Maa ne is liye paala Mere Ali Akbar


Khadi hai khaime ke dar parWoGhamzada Maadar

MainLaash khaime me le Jaaunga Teri kyunkar

Ye haal dekh ke phat Jaayga Dil e Muztar

Hai khoon meTera LaashaMere Ali Akbar


Jise thi aarzu dekhegi WoTera Sehra

Bhala WoDekhegi kaise ye khoon bhara Chehra

Jigar ka zakhm jo DekhegiGhamzada Laila

Na ji sakegiWoDukhiya Mere Ali Akbar


Tu khaako Khoon me ghalta'n hai Mehlaqa Mere

Khuda hiJaane jo guzregi dil pa Zainab ke

Ke Tujh ko Paala hai atthara saal tak Jisne

Sitam hai us pa ye kaisa Mere Ali Akbar


Hussain Laaye jo khaime meLaasha-e Akbar

Madad ko pohnchi jo Bhai ki Zainab e Muztar

Jawa'n ke khoon se sab tar bataar hui chaadar

Pukari ji ke karun kya Mere Ali Akbar


Rihaai jab hui zinda'n se Aale At'har ki

Khabar Madineme pohnchi jo Qatle Akbar ki

Sohail hil gayi sunkarLahad Payambar ki

Pukari ro ke ye Sughra Mere Ali Akbar