tum chand ho is ghar ka na jao ali akbar
sughra ki zaeefi na badhao ali akbar
baithi hoo mai dehleez pe tum jab se gaye ho
lene mujhe kab aaoge aao ali akbar
sughra ki zaeefi na badhao...
tum chand ho is ghar ka...
doori ka na daagh do sughra ko khudara
barchi to kalaje pe na khao ali akbar
sughra ki zaeefi na badhao...
tum chand ho is ghar ka...
ek tum hi to sughra ki zaeefi ka asa ho
sughra ko sahara do uthao ali akbar
sughra ki zaeefi na badhao...
tum chand ho is ghar ka...
mai chahun bhi to ghar ki ye veerani na kam ho
tum chaaho to veerana basao ali akbar
sughra ki zaeefi na badhao...
tum chand ho is ghar ka...
aao ke andhere ne mujhe ghayr liya hai
jeene ki koi shakl dikhao ali akbar
sughra ki zaeefi na badhao...
tum chand ho is ghar ka...
tanhai may veerani may sannate may khud may
mai kho gayi hoo dhoond ke lao ali akbar
sughra ki zaeefi na badhao...
tum chand ho is ghar ka...
nauha tha naved uske labon par yehi har dam
dam seene may rukne laga aao ali akbar
sughra ki zaeefi na badhao...
tum chand ho is ghar ka...