Umme Laila Yeh Kheti Thi Rokar Meri Duniya Ujaadh Gayi Akber
Kaise Jee Payengi Teri Madar Meri Duniya Ujaadh Gayi Akber
1.Laaye Shabbir Jab Tera Laasha
Waqt Muhjpar Tha Wo Qayamath Ka
Tar Ba Tar Khoon Me Tujhe Dekha
Hai Nighahou Me Abhi Wo Manzar
Meri Duniya Ujaadh Gayi Akber
2.Gham Zada Haaye saniye Zehra
Tujhku Aathraha Saal Paala Tha
Main Samjhti Hu Haal Zainab Ka
Meri Duniya Ujaadh Gayi Akber
3.Qaid Hokar Chala Hai Yun Kunba
Bewatan Berida Rasan Basta
Bekafan Run Me Hai Tera Laasha
Samne Sar Hai Nouke Naiza Par
Meri Duniya Ujaadh Gayi Akber
4.Shamme Furkhat Ki Law Badhati Hai
Jab Sada-e-Azaan Aati Hai
Yaad teri Bhot Rulati Hai
Fakhre Yousuf Shabihe Paighambar
Meri Duniya Ujaadh Gayi Akber
5.Tha Yeh Arman Teri Shaadi Ho
Ghar Me Laun Main Teri Dulhan Ko
Tum Bhi Aulad Ki Khushi dekho
Har Tamanna Pe Chalgaya Khanjar
Meri Duniya Ujaadh Gayi Akber
6.Tere Seene Pe Jo Laagi Barchi
Mere Dil Par Wo Zakhm Hai Abhi
Qabr Me Bhi Bhot Rulayengi
Mujhku teri Judaai Aye Dilbar
Meri Duniya Ujaadh Gayi Akber
7.Ghar Ki Wareeniou Ka Matam Hai
Yehin Sughra Ka Gham Se Alaam Hai
Tere Nakhsh-e-Khadam Pe Sar Kham Hai
Padhrahi Hai Yeh Nouha Rorokar
8.Karwan-e-Aza Ka Hai Wada
Ta Abad Yeh Kamal Gham Honga
Royenge Yaad Karke Wo Nouha
Umr Bhar Tha Jo Maa Ke Houthou Par
Meri Duniya Ujaadh Gayi Akber