uth'ta nahi hai laasha shabbir-e-natawan se
abbas jald aao nehre rawan dawan se
laila tadap ke boli ay mere laal mat ja
ruqsat jo tujko karde la'un wo dil kahan se
uth'ta nahi hai...
insaaf chahti hai ujhdi hui jawani
har qam kamar pidar se har ek zaeef maa se
uth'ta nahi hai...
dil be-tahasha karke fauje yazeed royi
kay jaane kya kaha tha baysheer ne zaban se
uth'ta nahi hai...
kaamp ut'thi roohe insan nawak laga galay par
yun muskura ke asghar ruqsat huwe jahan se
uth'ta nahi hai...
laasha hai sheh ka uryan majboor hai behan bhi
sar par rida nahi hai laaye kafan kahan se
uth'ta nahi hai...
itna to soch zaalim bhaari hai tauq-o-baydi
rehwaar uthega kyon kar beemar-o-natawan se
uth'ta nahi hai...
roti hai jab sakina baba ko yaad karke
hilta hai qaid-khana masoom ki fughan se
uth'ta nahi hai...
bakshish ki ek sanad hai nauha tumhara agha
mil kar rahegi jannat haa maalike jina se
uth'ta nahi hai...