abbas ke marne se tooti hai kamar sheh ki
veeran hui dunya akbar tere marne se
kya tujhko khabar akbar jo guzri hai maadar par
ek barchi ka phal tere seene may utarne se
veeran hui dunya...
aajate thay pehle to tum ek sada par hi
aate nahi ab maa ke faryad bhi karne se
veeran hui dunya...
kis haal may sughra ko tum chod gaye akbar
fursat hi nahi milti aahein usay bharne se
veeran hui dunya...
jab dekha sar e akbar laila ne kaha ro kar
ay kaash mai mar jaati pehle tere marne se
veeran hui dunya...
kya dard ka aalam hai har laash tadapti hai
maa behno ke beparda maqtal se guzarne se
veeran hui dunya...
ek laasha taraayi may uth'ta kabhi girta tha
shabbir ke maqtal may uthne kabhi girna se
veeran hui dunya...
beenayi chini sheh ki izhaar sar e maqtal
hamshakle payambar ke dunya se guzarne se
veeran hui dunya...