wahab e kalbi eesa ke ummati
tum par salaam ho
akbar ki maa se kehti thi ro kar wahab ki maa
bibi mera pisar kahan akbar tera kahan
bibi ye soch kar mujhe aata nahi hai chain
akbar ka dard dekhenge kaise bhala hussain
rote thay wo wahab jo ragadta tha aediyan
akbar ki maa se...
hum ne to kalma padh liya akbar ko dekh kar
ye kaise log hai jinhe shak hai hussain par
lagta hai mujhko koi musalman nahi yahan
akbar ki maa se...
hat'ti nahi yun aap ke shehzade se nazar
shadi kiye bagahir hi mar jayega pisar
ek maa ke dil ka haal samajhti hai ek maa
akbar ki maa se...
aansu khushi ke behne lage gham ke saath saath
maqtal mein maine dekha jo pehlu pe rakhe haath
roti thi mere laal ko akbar ki daadi jaan
akbar ki maa se...
khud apni tarbiyat pe kiya shukre kibriya
zauja se jo wahab ne wasiyat mein ye kaha
fizza se pehle haathon mein bandwana rassiyan
akbar ki maa se...
mai zauja e wahab se ye keh deti hoon abhi
wo bhai kehke laash pe akbar ke royegi
maine suna hai fatema sughra nahi yahan
akbar ki maa se...
umme wahab ki laash pe laila ne ye kaha
sajjad is se badh ke muqaddar ho aur kya
ran mein shaheed hogayi bete ke saath maa
akbar ki maa se...