Kanz e Aza

Wo Mera Akbar Jo

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Mubarak Jalalpuri. Lyrics in Roman Urdu.

sogaya seene pe barchi khaake ab kadiyal jawan

umme laila ab ali akbar ko payegi kahan

dekhti hai jab jawano ko galay milte hue

roke kehti hai ajab hum karbala mein lut gaye

mai kaise dulha banaun khaak mein sehra liye

jee na paungi mai apne naujawan ko bhool ke


wo mera akbar jo tha shadi se pehle mar gaya

umme laila umr padti rahi ye marsiya


kis tarha dekhun jawano ko galay milte huwe

jee na paungi mai apne naujawan ko bhool ke

dekh kar saaya bhi lagta hai ke akbar hai mera

wo mera akbar jo tha...

umme laila umr bhar...


mai ne athara baras paala tha mere laal ko

dil mein hasrat thi ke akbar sar pe sehra baandh lo

ek ghadi aayi ki ek naiza jigar mein lag gaya

wo mera akbar jo tha...

umme laila umr bhar...


haye naize ki ani pahunchi kaleje mein juhin

maut ki hichki mere farzand ko aane lagi

baap ne naiza jo khayncha dam pisar ka uth gaya

wo mera akbar jo tha...

umme laila umr bhar...


thi kabhi zainab se kehti aur kabhi kulssom se

aise maa aakhir bata kis tarha zinda rahe

jis ka athara baras ka laadla ab na raha

wo mera akbar jo tha...

umme laila umr bhar...


maine socha tha ki shadi hogi mere laal ki

fatema sughra rahegi aur sakina bhi meri

haye uska jism pamaal e sumein aspa hua

wo mera akbar jo tha...

umme laila umr bhar...


dasht mein farzand ki baraat thi aise saji

haye ek nazuk kaleja aur naize ki ani

uska laasha maine dekha khoon mein dooba hua

wo mera akbar jo tha...

umme laila umr bhar...


khoon ne haathon pe mehendi ki jagah chodi nahi

mere akbar ke lahoo se surkh hai saari zameen

haye usko maut ne dulha nahi ban'ne diya

wo mera akbar jo tha...

umme laila umr bhar...


ho bayan kaise mubarak umme laila ka bayan

karbala mein shaam o kufa mein madine mein fughan

poocha jab rehan kisi ne roke maadar ne kaha

wo mera akbar jo tha...

umme laila umr bhar...