ye qaid mein ali akbar ki maa ka naala hai
nahi wo chand jo ghar ka mere ujaala hai
mere jawan ko naizo se maar daala hai
kaleja tod ke barchi ka phal nikaala hai
ghazab hai laash ko ghodon se raundh daala hai
ye qaid mein ali akbar…
batao logon usay dhoondne kidhar jaun
mai apne akbar e mehroo ko kis tarha paun
milay to apne kaleje se usko liptaun
wo mar gaya hai ye kis tarha dil ko samjhaun
aray kahan mera athara saal waala hai
ye qaid mein ali akbar…
khuda ke waaste ab ran se aao ay akbar
layeen satate hai aa kar bachao ay akbar
khule saron pe ridayein udhao ay akbar
phupi ke haal pe ab rehm khao ay akbar
tadap ke kehti thi kin kin dukhon se paala hai
ye qaid mein ali akbar…
batao sabr kare kis tarha dil e maadar
shabihe ahmed e mukhtar thay tum ay dilbar
tumhare gham mein mere dil pe chalte hai khanjar
tumhare baad jahan se gaye ali asghar
malaal dugna hai dil ko khalaq dubaala hai
ye qaid mein ali akbar…