Hai waqt Asr ka aur Karbala me hai mehshar
Zameen-e garm pa ghash me hai Fatima ka Pisar
Laee'n hai seene pa gardan me zulm ka khanjar
Ye ran me karti hai faryaad Binte PaiGhambar
Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par
Falak nasheen zami'n par gira hai wawaila
Hazaar zakhm hain sukha gala hai wawaila
Ussi ke halq pa khanjar chala hai wawaila
Hai Bosagaahe Nabi aur shimr ka khanjar
Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par
Kamar khameeda hai Gham hai Usse Baradar ka
Abhi Uthaya hai LaashaJawaan Akbar ka
Abhi to taaza hai GhamDil pa qatle Asghar ka
Abhi nazar me hai Qasim ki Laash ka manzar
Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par
Tha MeraLaal nashana sina-o khanjar ka
Gale pa teer hai Maathe pa zakhm pathar ka
Bhara hai zakhmon se saara badan Dilawar ka
Lahu Ghamo'n se hai Mazloom ka Dil-eMuztar
Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par
Huwe hain qatl nigahon keaage peero Jawa'n
Wo bekasi thi ke PaiGhambaron ne ki hai Fugha'n
Jari ne dekhi hai Bete ke Dil me noke sina
Uthaya Bekaso Tanha ne Laasha-e Akbar
Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par
Wo pyaas hai ke nazr me dhuwa'n ho saara jaha'n
Utha hai dil me Sakina ki Yaad ka toofa'n
Fiza me goonj rahi hai Haram ki Aaho Fugha'n
Sadaaein deta hai Abbas ko MeraDilbar
Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par
Na Gham gusaar hai Betahai aur na Bhai hai
Tadapke Zainabe Muztar hi rannmeAayi hai
Madad ka waqt hai Ya Mustufa duhaai hai
Hai khaako khoon me ghaltaa'n Tumhara Noore Nazar
Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par
Hai zere khanjaro khu'nkhaar tashnakaam Pisar
Hai zib'ha karne ko tayyar zaalime khud sar
Ulat do rann ki zami'n ab to Faatehe khaibar
Shaheed hota hai BetaTumhara Ya Haidar
Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par
MerePisar pa laeeno'n ki fauj chhaai hai
Ghareeb bekaso tanha hai benawaai hai
Kisi ne tegh kisi ne sina lagaai hai
Sawaar shimr hai Bekas ke zakhmi seene par
Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par
Hai kaaenaat me Jaweed is fughaa'n ka asar
Falak larazte hain kaono maka'n me hai mehshar
Zameen kaampti hai khoon rote hain pathar
Jo bain Karti hai Zehra Pisar ki baali'n par
Mera Hussain Tadapta hai khaake maqtal par