Kanz e Aza

Yeh Karbala Hai, Zulm-o-Sitam ki Intaha Hai

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Kahi Phay Sur Hai Kahi Rida Hai (x2)

Yeh Karbala Hai, Yeh Karbala Hai


Ghazi Nahi Hain Akbar Nahi Hai,

Qasim Nahi Hain Asghar Nahi Hai (x2)

Aur Shah Ka Lasha Tanha Para Hai (x2)

Yeh Karbala Hai, Yeh Karbala Hai


Kerkay Dafan Masoom Asghar,

Shabbir Roye Nani Qabar Par (x2)

Asghar Ke Khun Se Chehra Bhara Hai (x2)

Yeh Karbala Hai, Yeh Karbala Hai


Dhono Jahan Mutthi Mei Jiskay,

Maqtal Mei Pyasa Shabbir Hain Woh (x2)

Hal Min Ki Tanha Deyta Sada Hai (x2)

Yeh Karbala Hai, Yeh Karbala Hai


Maqtal Mai Hain Joh Fakhray Yousuf,

Hum Shaqal Ahmad Hai Naam Akbar (x2)

Seenei Mei Uskay Tooti Sina Hai (x2)

Yeh Karbala Hai, Yeh Karbala Hai


Islam Ki Khatir Luta Hai,

Johar Mohammed Ka Hain Ghirana (x2)

Ab Sham Lut Nei Ghar Yeh Chala Hai (x2)

Yeh Karbala Hai, Yeh Karbala Hai