yeh sada deti hai zainab mere jaani abbas
ho kaha tum mere baba ki nashani abbas
1. tum jo dariya pe gaye aaye ne wapas abbas
kaun ab lega qabar aaye na wapas abbas
tum se kehti hai ye zehra ki nashani abbas
2. muntazar dar pe tumhari hai sakina abbas aur bachon ko bhi deti hai dilasa abbas
ab chacha ayenge ab , aayega paani abbas
3. sath choota hai toh roti hai sakina abbas
har khadam par yahi kehti hai sakina abbas
laut aao nahi ab , khaweshe paani abbas
4. kaise kaise hai sitam aur sakina abbas
gham zada jayegi duniya se sakina abbas
ab palat aao mere ,hyder-e-sani abbas
5. ab na qasim hai na akbar na mere dono pisar
hampe khaye jo raham koi nahi aisa bashar
koi humdum nahi yawar, nahi jani abbas
6. qatl sab hogaye ab koi mere sath nahi
sab ko sab asghar-e-nadan bhi mere sath nahin
gham hai pyaron ka toh gham tashnadahani abbas
7. sin tha atharwa aur maut ka samaan huwa
hai poora na mera koi bhi armaan huwa
ran mein youn mitgayi akbar ke jawani abbas
8. lut gayi lut gayi karbal mein toh aakar abbas
tooti naize ki aani seene mein aakar abbas
baap se uthi na maiyat wo jawan ki abbas
9. qaime jal jayenge jal jayega sab kuch abbas
wo layeen cheen ke lejayenge sab kuch abbas
ab kaha payengi amma ki nashani abbas
10. meri bachi waha bimar hai soghra abbas
kaise bardasht karegi mere soghra abbas
kaise kehpaungi rudaad zubani abbas
11. sarwat ab aahoo buka karti hai bibi zainab
shiddat-e-gham mein yahi kehti hai bibi zainab
ab nahi deher mein hyder ki nashani abbas