jis ghar mein ho matam e sarwar ajati hai wa zainab
chasme aza mein lejai hai ashkon ka toofan zainab
matam karlo ahle azaa giriya kona hai ya zainab
zainab zainab zainba zainab zikre aza ki jaan zainab
hashr talak mamnoon hai tere deen-e-nabi quran zainab
zainab zainab zainab zikre aza ki jaan zainab
1. aun -o- mohammed kul sarmaya bhai pe wo bhi waar diya
khoon mein tar jab laashey aaye tu ne kiya jo shukre khuda
chasme falak ne phir nahi dekhi aisi koi maa zainab
zainab zainab zainab . . . . .
2. jisko bade nazoun se pala us ko lahu mein tar dekha
jagti ankhon se zainab ne yeh bhi manzar dekh liya
nok -e- sina ne cheen liya hain tere sab arman zainab
zainab zainab zainab . . . . .
3. akbar -o- qasim aun -o- mohammed bhai mera abbas nahi
kist -e- sitam mein tanha hoon main mujhko kisi ki aas nahi
maajaye ab tuhi sada de dasht mein hain girya zainab
zainab zainab zainab . . . . .
4. jalgaye qaime chingayi chadar ahle haram hai zeir sana
sabke labon par aaho buka hain nauha kuna hain karbo bala
shaam -e- ghariban dasht -e- bala mein tuhi sab ki jaan zainab
zainab zainab zainab . . . . .
5. baad -e- sarwar zainab par abid ki hifazat lazim thi
na karti jo haq ki hifazat phir to qayamat lazim thi
deen -e- mohammad kaise bhoole tera yeh ehsan zainab
zainab zainab zainab . . . . .
6. zakhmi hain rukhsar -e- sakina hai yatimi hai re ghurbat
kis se kahe rudad -e- alam yeh chaar baras ka sin yeh musibat
zulm -o- sitam ghurbat yeh asiri maut ke hain sama zainab
zainab zainab zainab . . . . .
7. seene -e- shay par sone wali baad -e- sarwar kaise jiye
daagh -e- yatimi dagh -e- judai dagh -e- asiri saat liye
marjayegi qaid -e- sitam mein teri sakina jaa zainab
zainab zainab zainab . . . . .
8. farsh -e- zameen se arsh talak gunje hain sada ye matam ki
kya jane yeh duniya wale kya hain azmat is gham ki
zikr -e- sarwar zikr -e- khuda hain zikre khuda ki jaan zainab
zainab zainab zainab . . . . .
9. sarpe hain abbas ka parcham karte hain matam bekas ka
ashk humare nusrat -e- maula saans humari karbobala
dil yeh farid ab shehar aza hain shehar -e- aza ki jaan zainab
zainab zainab zainab . . . . .