zindan mein matam hai masoom sakina ka
ghurbat ke andhere mein ek hashr sa hai barpa
1. bano ne kaha rokar kyon chup hain meri bachi
tadpao na youn maa ko awaz to do bibi
utho mein badal daloo yeh qoon bhara kurta
2. aye tashna dahan beti ab neend se uth jaoo
kaano ka lahoo ponchoo godi meri aaoo
aise to koi maa ko bechain nahi karta
3. kaise yeh tamachey the hain gaal abhi zaqmi
kano se abhi tak hai allah lahoo jari
hain nanhi si gardan par rassi ka nasha kaisa
4. kyon apne chacha ko tu ab yaad nahi karti
baba ke liye kyon ab faryaad nahi karti
hai tauq-e-salasal mein bechain tera bhaiya
5. asghar bhi nahi mera dil kaise main behlaoo
hai aag kaleje mein kaise main sukoo paon
ab tu hi bata mujhko kaise main jiyoo tanha