abbas mera margaya zainab zainab
shabbir detey the sada zainab zainab
1. barpa karo behna aza
bhai huwa hum se juda
hum ho gaya be aasra
kohe musibat gir pada zainab
2. bazoo huwe uske qalam
kaisa huwa hai yeh sitam
tanha huwe ghurbat mein hum
matam karo zair-e-alam zainab
3. ata alam ko dekhkar
poocha chacha ko tha magar
dar pe hain unki muntazar
usko na ho iss ki khabar zainab
4. akbar se aye behna kaho
jakar chachi ko pursa do
poochey hume gham qaar jo
kehlena hain matam me woh zainab
5. mare gaya uske chacha
maloom gar usko huwa
bali sakina be baha
peetegi sar karke buka zainab
6. tanha hame ab jaan kar
kya kuch karenge ahle sharr
barbaad hoga ghar ka ghar
kat jayega ab mera sar zainab
7. karlo anees is dam buka
na jaane aaye kab khaza
ye waqt aisa aagaya
matam pe ho joro jaffa zainab