Kanz e Aza

Abbas Mera Maula

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

saqi abbas hai maula

abbas mera maula abbas mera aaqa


hai sher karbala ka farzand fatema ka

abbas mera maula abbas mera aaqa


har dard ki dawa hai ibne shah e huda hai

rag rag mein khoon e hyder ghazi ki bolta hai

salaar e karbala hai sher e khuda ka saaya

abbas mera maula...


mashk o alam mein jaan hai ghairat ka aasman hai

sar ta qadam jari mein allah jaanta hai

hyder ka dabdaba hai sher e khuda ka saaya

abbas mera maula...


ahle haram ka saqqa dhaaras shah e zaman ki

pardes ki fiza mein umeed hai behan ki

zainab ka aasra hai sher e khuda ka saaya

abbas mera maula...


chullu mein le ke pani rasm e wafa nibhayi

tashna dahan ke lab tak ek boond bhi na aayi

ye zabt ka khuda hai sher e khuda ka saaya

abbas mera maula...


pani pe apna parcham lehra ke keh raha tha

ab taa abad rahega darya pe mera qabza

pakka ye qaul ka hai sher e khuda ka saaya

abbas mera maula...


baazu qalam huwe to wapas na ran se aaya

pani baha tha jitna utna hi khoon bahaya

kis darja ba-haya hai sher e khuda ka saaya

abbas mera maula...


is ke alam ko jab se zainab ne hai sambhala

raunaq bana hua hai har majlis e aza ka

shabbir ki dua hai sher e khuda ka saaya

abbas mera maula...


pani ki ye sabeelein asghar ki hai daleelein

abbas ki wafa ko ahl wafa se poochein

zinda ye maujiza hai sher e khuda ka saaya

abbas mera maula...


nasir hussain ka hai rehaan karbala bhi

zainab ki aarzu bhi zehra ki hai dua bhi

hyder ka laadla hai sher e khuda ka saaya

abbas mera maula...