matam kuna nauha kuna
ahle aza suye jina
pahunche lahoo may ho ke tar
aati thi jannat ki sada
marhaba marhaba marhaba marhaba
ahlan wa sehlan marhaba
aashiq e shabbir aa
hai muntazir meri fiza
mai kya meri auqaat kya
kehti hai khud bhi sayyeda
ahlan wa sehlan...
ye matam e zanjeer hai
khushnoodi e sahbbir hai
ye faisla to ho chuka
jannat pe bhi tehreer hai
ahlan wa sehlan...
tu ne uthaaya tha alam
jalti zameen par thay qadam
ghazi kahega hashr may
de kar dua kehte hai hum
ahlan wa sehlan...
zakhme ali akbar ka gham
seene pe tere hai raqam
karta hua seena zani
jannat may rakh apne qadam
ahlan wa sehlan...
gehwara e asghar ko tu
lekar phira hai koo ba koo
kehne lagi asghar ki maa
jannat teri jannat ka tu
ahlan wa sehlan...
wo choti choti baaliyan
rakh kar alam ke darmiyan
rota tha dhaade maar kar
ay bewatan ke nauhakwan
ahlan wa sehlan...
abid ka matamdaar hai
nazron may wo bazaar hai
roya hai ek bemaar ko
jannat ka tu haqdaar hai
ahlan wa sehlan...
zainab ke baazu ki rasan
deti rahi tujhko mehan
jannat teri maqrooz hai
aaja baraye panjetan
ahlan wa sehlan...
rehaan kya taqdeer hai
tu shayar e shabbir hai
har sher par ek ghar mila
jannat teri jageer hai
ahlan wa sehlan...