akbar e man nawjawan akbar e man
ay mere raahat e jaan naujawan akbar e man
tujpe qurban ye maa naujawan akbar e man jawan
akbar e man naujawan...
saal atharwan kya ban ke qayamat aaya
chand se seene pe pardes mein naiza khaaya
hai kahan zakhme sina bol kuch to meri jaan
akbar e man naujawan...
baap ki aankhon se benaayi meri aas gayi
tujko kausar ki taraf leke teri pyaas gayi
meri tadapti hoo yahan ay meri raahat e jaan
akbar e man naujawan...
waada sughra se kiya tha jo chale thay ghar se
laut aaunga bahot jald mai tujhse milne
dhoondti hai wo behen tere qadmon ke nishan
akbar e man naujawan...
tum ko athara baras naazon se jisne paala
wo phupi beton se bad kar tumhe jisne chaaha
kehti hai laut ke aa ho gaya waqte azaan
akbar e man naujawan...
khaa ke seene pe sina sota hai tu lakhte jigar
tere bin zinda na reh payegi teri maadar
uske haathon mein rasan jiska ho laal jawan
akbar e man naujawan...
aagayi gyara moharam hai safar zindan ka
hai pase pusht bandhe haath nahi sar pe rida
kya gawara hai tujhe thokare khaaye ye maa
akbar e man naujawan...
tauq karta hai fughan karti hai matam zanjeer
ashke khoon rote hai naize pe janabe shabbir
paaye sajjad ke hai aabile nauha kuna
akbar e man naujawan...
maa ke armaan tere saath hi soye ban mein
tu ne seene pe sina khaayi kuch aise ran mein
roya rehan qalam likh ke laila ka bayan
akbar e man naujawan...