ali akbar abhi maidaa'n me na jao beta
pehle sughra ko madine se bula lo beta
teri shadi ka hai armaan bada zainab ko
har ghadi rehta hai bas dhyaan tera zainab ko
tum bichad jaaoge maloom na tha zainab ko
gham zada zainabe zeesha'n ko manao beta
tum se chut kar teri maa chain nahi payegi
zindagi bhar teri surat ko taras jayegi
teri furqat me use neend kaha aayegi
kaise jee payedi dukhyaari batao beta
ahmad e mursale aazam ki shabahat tum ho
baade abbas e jari meri bizaa'at tum ho
sach to ye hai meri aankhou ki basaarat tum ho
lahne ahmed me azaa'n deke sunaao beta
zindagi bhar teri furqat mujhe tadpayegi
ab khushi laut ke is ghar me nahi ayegi
sath tere meri beenayi chali jayegi
apne surat mujhe ek baar dikhao beta
jo mere dil pa guzarti hai bataau kaise
zaqm seene ka mere laal chupau kaise
mai zaeefi me jawaa'n laash uthau kaise
meri ghurbat pe zara reham to khao beta
teer khayega meri god ka paala asghar
ab koi dam me mai ho jaunga tanha akbar
thaam kar tooti kamar kehte the sarwar mazhar
apni peshani pa sehra to sajao beta