amma bas ek raat ka mehmaan hai hussain
andheri raat hai amma ghamo ka andhera hai
ab iske baad meri aaqri sawera hai
watan se door mujhe koofiou ne ghera hai
har ek shere dilawar bichadne wala hai
mere safeene ka langar bichadne wala hai ke mujh se mera baradar bichad ne wala hai
jawaa'n pisar ka janaza mai kal uthaunga
ghamo alam se zaeefi me ladkhadaunga
zaroor aana mai amma tumhe bulaunga
lahum ki subha ko ran aisa padne wala hai ke mujh ghareeb se kunba bichadne wala hai
bhara hua ye mera ghar ujadne wala hai
meri sakina ko seene se tum laga lena
gire jo naaqe se amma use utha lena
sitamgarou ke tamachou se tum bachalena
tumhare chand ko gherenge sham ke haale
mere badan pe lagaenge zulm ke bhaale ke mujh pe toot padenge ye barchiyo waale
abhi to jhula e asghar bhi ran ko jaaega
zaeef baap ke hathou pe teer khayega
lahu me doob ke besheer muskuraega
har simt se barsenge mujhpe teer o sina
gulu e qushk se hoga yahi pe khoon rawa
mera mazar banega isi jagah amma
abhi to quwwate dil mujhko aazmani hai
abhi to mayate akbar mujhe uthani hai
abhi to turbate besheer bhi banani hai