Kanz e Aza

Amma Mai Thak

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Majid Raza Abdi. Lyrics in Roman Urdu.

gardan se sheh ki khanjar e qatil khareeb tha

zehra sirhaane aa gayi karti hui buka

zaanu ki maa ki shaah ne tab sar ko rakh diya

aankhein thi band aur ye nauha labon pe tha


shabbir keh rahe hai aansu baha baha ke

amma mai thak chuka hoon laashe utha utha ke


maine uthayi amma haathon pe laashe akbar

in haathon se banayi khud maine qabre asghar

yun maarte hai zaalim mujhko rula rula ke

amma mai thak chuka...


maidan se mujhko jis dam abbas ne pukara

kham aa gaya kamar mein toota mera sahara

darya pe jaa raha tha mai sar jhuka jhuka ke

amma mai thak chuka...


akbar meri nazar ki beenayi le gaye thay

gir gir ke poochta tha beta mera kidhar hai

wo mujhko dhoondta tha gardan utha utha ke

amma mai thak chuka...


do bhanjon ke mere jab ran se aaye laashe

zainab ne laadlon ke jis waqt paaye laashe

sajde wo kar rahi thi aansu baha baha ke

amma mai thak chuka...


amma meri nazar mein manzar wo chaa rahe hai

bacchi pe meri aada yun zulm dhaa rahe hai

pani baha rahe hai us ko dikha dikha ke

amma mai thak chuka...


guzrenge aur masayib meri behan ke upar

aankhon mein phir raha hai ye dardnaak manzar

wo sham ja rahi hai nauhe suna suna ke

amma mai thak chuka...


ay shadman o majid kaise padhe ye manzar

jab halq rakh rahi thi zehra gulu e sheh par

gardan jhuka jhuka ke khanjar hata hata ke

amma mai thak chuka...