jab sar e hussain kat ke khaak pe gira
aa rahi thi shaah ke badan se ye sada
maa haye maa haye maa
maa tumhari godh mein ab hussain kaise soyega
amma mera sar nahi raha
jis ki tum nazar utaarti rahi ho maa
aankhein wo kahan wo mera chehra ab kahan
zulfein tum sawaarti thi kitne pyar se
maatha kaise choomogi hussain ka yahan
hasratein nikalogi aaj kaise khud batao na
amma mera sar...
shimr kaat'ta tha amma jab mera dahan
kuch qadam se dekhti rahi meri behen
baalon se utha ke sar wo saath le gaya
khaak par tadapta reh gaya mera badan
mere khushk halq par khanjar itni dayr tak chala
amma mera sar...
amma koi kurta le gaya hussain ka
koi khoon bhara amaama le gaya mera
ungli meri kaat di angoothi ke liye
dekho ab mere badan pe kuch nahi bacha
loot'te rahe mujhe shamiyon ko jab pata chala
amma mera sar...
zakhmi hoke jab zameen par gira hussain
pyasa mar gaya tumhara laadla hussain
dafn kar chuka hoon apne sheerkhwar ko
dekho ek din mein kitna thak chuka hussain
haath bhai ke kate seena chid gaya jawan ka
amma mera sar...
chaar saal jisko maine pyar se rakha
kha chuki hai aaj wo tamacha shimr ka
kurta jal chuka hai chin gayi hai baaliyan
baba tum kahan ho de rahi hai wo sada
ab sakina dasht mein kaise dhoondegi badan mera
amma mera sar...
zainab aayegi jab amma meri laash par
wo yahin giregi bhai bhai bol kar
pattharon ko laash se wo jab hatayegi
chaahta tha dekh loon behen ko ek nazar
haye hasrata magar mai behen ko kaise dekhunga
amma mera sar...
zeeshan abidi ye goonji dasht mein sada
beta tere paas aagayi hai fatema
maa to maa hai godh mein utha legi tujhe
sar nahi to kya hua badan to hai tera
soja meri godh mein dekh maa se ab na bolna
amma mera sar...