Kanz e Aza

Badshah Hussain

A noha written by Zeeshan Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

hussain hussain hussain

badshah e mann

shehenshah e mann

qibla e dilam kaaba e dilam

hussain hussain


badshah hussain shehenshah hussain

deen ka aasra hussain hai

hussain ya hussain


kayenat mein baat baat mein

teri baat tera tazkera hussain hai


badshah hussain shehenshah hussain

deen ka aasra hussain hai


tujhko dil waalon ka sultan kaha jaata hai

ishq mein tere koi teer o tabar khaata hai

koi laakhon se bahattar mein chala aata hai

tujhse jab mila hurr samajh gaya

hai fana yazeed aur baqa hussain hai


badshah hussain shehenshah hussain

deen ka aasra hussain hai

hussain ya hussain...


tu balandi hai zabardast hai aala tu hai

jisko abbas kahe maula wo maula tu hai

arsh waalon ko zameen baatne waala tu hai

kyun na farsh pe aasman jhuke

maalik e zameen e karbala hussain hai


badshah hussain shehenshah hussain

deen ka aasra hussain hai

hussain ya hussain...


tu hi hai toote dilon ka sahara hussain

hai aashiqon ki sada tu hamara hussain


jab se seeno mein basaya hai tera gham maula

dil ki dhadkan bhi hame lagti hai matam maula

saal bhar rehta hai aankhon mein moharram maula

hai nishane gham seeno pe raqam

bas hamare qalb par likha hussain hai


badshah hussain shehenshah hussain

deen ka aasra hussain hai

hussain ya hussain...


chauda sadiyon se tere gham ka safar jaari hai

ye azakhane alam tujhse wafadari hai

aaj har ghar mein bapa teri azadari hai

har faqeer ki hai sada yehi

zindabad aaj bhi mera hussain hai


badshah hussain shehenshah hussain

deen ka aasra hussain hai

hussain ya hussain...


maut ko maar ke jo karbobala tak pahuncha

wo hussain ibne ali teri raza tak pahuncha

bas tere paas jo pahuncha wo khuda tak pahuncha

manzil e khuda sirf karbala

is liye hamara raasta hussain hai


badshah hussain shehenshah hussain

deen ka aasra hussain hai

hussain ya hussain...


hussaina hussaina

ya saarallah hussain

ay qateel e jafa

ay ghareeb e zahra

shaheed e karbala hussain


jab murtajiz sawaar wo ran mein utar gaya

dushman ki maut saath chali wo jidhar gaya

utha jo uske saamne wo sar se sar gaya

aaya jo zulfiqar ki zadd mein wo mar gaya

koi soorma bach nahi saka

pyaas mein bhi is tarha lada hussain hai


hussaina hussaina


jab irjaee ki arsh se aayi sada hussain

palta tu ran se qaimon ki jaanib chala hussain

maqtal mein tujhko ghayr ke maara gaya hussain

zehra ne aake thaam liya jab gira hussain

shimr ne rakhi halq par churi

maa pukari mera laadla hussain hai


badshah hussain shehenshah hussain

deen ka aasra hussain hai

hussain ya hussain...


haq ki manzil pe raha sab ke dilon par chaaya

jis ka sar kaat ke bhi koi jhuka na paaya

wo usi shaan se zeeshan sina par aaya

hai yazeed ka naam mit gaya

aaj har zaban pe sirf ya hussain hai


badshah hussain shehenshah hussain

deen ka aasra hussain hai

hussain ya hussain...