Kanz e Aza

Betiyan To Sab Ko

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Zeeshan Abidi (2026). Lyrics in Roman Urdu.

zindan e shaam mein wo qayamat ka waqt tha

saumpa gaya sakina ko jab sar hussain ka

baba ke zakhmi chehre se khoon saaf jab kiya

baalon se khaak jhaad ke beti ne ye kaha


tum to kehte thay sakina

tum bin mera dil nahi lagta

phir kyun itni dayr ki aane mein tumne baba


betiyan to sab ko pyari hoti hai na baba

dekho mujhko shaam ke logon ne kitna maara


aap thay jab tak saath ay baba ye beti shehzadi thi

naaz uthaate thay sab mere sab ki pyari beti thi

haath chacha rakhte thay zameen par ghar mein jab mai chalti thi

mujhko sahara dene sab uth jaate thay jab girti thi

lekin ye masoom sakina jab giri naaqe se baba

mujhe sahara kyun dene koi bhi na aaya baba

betiyan to sab ko pyari...


pyare ammu chod gaye thay pani ko mai tarsi thi

bas ye mai hi jaanti hoon bazaar mein kaise chalti thi

shimr tamache maarta tha jab bhi thak kar mai rukti thi

mujhko ye bhi yaad nahi tha ke mai kab se pyasi thi

apni betiyon ko ye shaami la la kar dete thay pani

jab mai pani maangti thi khaati thi kyun durra

betiyan to sab ko pyari...


choom ke baba ka zakhmi sar beti boli ay baba

kuch din pehle qaid mein mujhse milne aayi thi ramla

mere gohar pehni thi mujhko us baat ka gham na tha

mai ye soch ke rone lagi jab dekha ramla ka chehra

zaalim ne darbar mein baba mujhe kaneezi mein jab maanga

us ke ghar mein bhi to ek beti hai kyun na socha

betiyan to sab ko pyari...


baba aap ka qaatil mere saamne jab bhi aata tha

aap ka jis pe khoon laga tha wo khanjar lehrata tha

baandh ke mujhko rassi se rahwaar wo jab daudata tha

nok e sina se mere chacha abbas ka sar gir jaata tha

naize par us waqt ay baba aap ko maine rote dekha

zaalim ne jab raah mein baalon se mujhe khayncha

betiyan to sab ko pyari...


aag lagi thi daaman mein aur haath tha zakhmi kaano par

shaam e ghariban mein jab tumko dhoonde nikli mai baahar

baba maine dekha tha apni aankhon se wo manzar

dada ko awaaz phupi zainab ne jab di ro ro kar

beti ki awaaz pe haye dada ali to milne aaye

lekin mera haal kyun tumne na aa kar poocha

betiyan to sab ko pyari...


sar e hussain pukara beti yaad karo na wo manzar

baba baba kehte huwe jab girti thi tum laashon par

maine hi to paas bulaya tha shehzadi ye keh kar

soja meri bacchi zakhmi seene pe tu sar rakh ke

be-sar tha beti ye baba paas tumhare kaise aata

tum ne jab awaaz de kar bola tha ay baba

betiyan to sab ko pyari...


beti baba se boli ab chod ke mujhko mat jaana

kab tak hai meri qismat mein zaalim ke durre khaana

tum bhaiya sajjad se keh do mujhko yahin par dafnana

baap se baatein karte karte aakhri hichki ka aana

ay zeeshan o raza ro ro kar baba ke moo pe moo rakh kar

baali sakina ne bas ye kehte huwe dam toda

betiyan to sab ko pyari...