roti rahi maadar haye ali asghar
asghar haye asghar
gardan pe teer khaa kar
dunya se jaane waale
maa ko bhi ab bula le
tujh se bichad ke asghar
maa kaise dil sambhale
maa ko bhi ab bula le
jab se gaye ho beta
maa dhoop mein hai baithi
tum bhi to dhoop mein ho
ye baat mai na bhooli
ay qabr mein padar ke
seene pe sone waale
maa ko bhi ab bula le
gardan pe teer...
tum yaad aa rahe ho
dil ro raha hai mera
mujhko wahin bula lo
ab tum jahan ho beta
seene tujhe laga ke
maa haal e dil suna le
maa ko bhi ab bula le
gardan pe teer...
sookha hua gala tha
roti rahi taraayi
afsos hai mai tujhko
pani pila na paayi
kausar pe maa pahunch kar
pani tujhe pila le
maa ko bhi ab bula le
gardan pe teer...
ay laal tera jhoola
veeran hogaya hai
bin tere mera ghar bhi
sunsaan hogaya hai
baakhi nahi hai meri
dunya mein ab ujaale
maa ko bhi ab bula le
gardan pe teer...
karbobala se lut kar
jab shaam mai chali thi
naize pe tere sar ko
mai dekh kar pukari
mushkil se tujhko asghar
maa kis tarha nikaale
maa ko bhi ab bula le
gardan pe teer...
pardes mein tumhare
laashe pe ro chuki hoon
zindan mein apni pyasi
beti bhi kho chuki hoon
koi nahi hai kis ko
umme rubab paale
maa ko bhi ab bula le
gardan pe teer...
zeehsan o shadman wo
maa dhoop se jo uthi
chaon mein ek paon
rakhte hi jaan nikli
awaaz phir na aayi
ay cheh mahine waale
maa ko bhi ab bula le
gardan pe teer...