jab kisi ghar mein koi marta hai
pursa dete hai log aa aa kar
kitni mazloom hai hussain ki maa
pursa leti hai sab ke ghar jaa kar
chod diya maa ne baqayya
aagaya muharram
ya hussain kaho ya hussain
ya hussain ya hussain
hoti hai majlis jahan aati hai wahan pe fatema
ghareeb hoon to kya hua wo aayengi
hame bhi khush naseeb wo banayengi
utha ke haath de ke waasta hussain ka
dua karo dua karo
hamare ghar mein aaj aaye bibi fatema
bichha ke farshe gham yahan jinhe bula rahe hai hum
wo phasliyon ko thaam kar rakhengi ghar mein jab qadam
sunana unko daastan hussain ki
bahot ghareeb hai wo maa hussain ki
jo pursa lene aati hai ghareeb laal ka
dua karo dua karo hamare ghar mein...
alam ke saath laazmi sajana ek mashk bhi
chacha se door na rahe hussain ki wo laadli
zaroor bibi aayengi hamare ghar
sakina ko bhi layengi hamare ghar
saja ke sheh nasheen rakh ke sheh ka taaziya
dua karo dua karo hamare ghar mein...
ye sirf rasm hi nahi hamari jaan hai ye gham
karenge matame hussain isi liye bane hai hum
ke hum rahe ya na rahe rahe ye gham
kabhi tumhara hausla nahi ho kam
rahe hamesha jaari ye aza ka silsila
dua karo dua karo hamare ghar mein...
falak pe khoon bhara tera libaas bich gaya hussain
jabhi to surkh chand par likha hua hai ya hussain
rakhenge dil ko karbala bana ke hum
ghareeb khaane mein diya jala ke hum
kahenge ya hussain hogi majlise aza
dua karo dua karo hamare ghar mein...
ye jhoola us ki yaad hai jo cheh mahine jee saka
salaam us sagheer par jo pani bhi na pee saka
sabeel us ke naam ki laga ke tum
pilaana pani sab ko jab bula ke tum
dua wo de to haath jod kar ye bolna
dua karo dua karo hamare ghar mein...
batool ek haath se libaas jis ka khud siye
yeh maahe gham mein kaise ho hum us ko yaad na kare
jab aathween ko ghazi ki ho haazri
nahi ho ehteraam mein koi kami
adab se haath mein utha ke nazre bawafa
dua karo dua karo hamare ghar mein...
guzar gaye hai kitne din mile huwe hussain se
mai unse door ab yahan rahunga kaise chain se
jab aayengi hamare ghar mein fatema
mai un ko apna haale dil sunaunga
wo keh de to bula lenge hussain karbala
dua karo dua karo hamare ghar mein...
na jaane kitni jaldi guzar jayenge ye din
phir poora saal yaad bahot aayenge ye din
layenge hum kahan se ay zeeshan aur raza
matam ki goonj aah o buka raunaq e aza
agle baras jo hoga wohi royega hussain
zinda rahe to hum bhi pukarenge ya hussain
dua karo dua karo hamare ghar mein...