aao aao aashiqane mustafa ye maahe aza hai
is zameen ta arshe bari charon taraf
jo gham ki faza hai ye maahe aza hai
aarzu e kibriya hai matame hussain
bakshishon ka raasta hai matame hussain
wo nizaam e mustafa hai matame hussain
ali o fatema ka laal hai ye
khuda ka laadla hussain
hussain hussain hussain ibne mohamed
sallal laho alaihi wa aalaihi
koi nahi koi nahi laadal aisa
jis ke liye rab ne ho kanoon ko badla
saare sahifon mein kitabon mein likha hai
chakna kisi mitti ko jaaiz nahi wallah
magar hussain tera jahan pe khoon gira
kiya khuda ne usay khaake shifa
ali o fatema ka laal hai ye
khuda ka laadla hussain
hussain hussain hussain ibne mohamed
sallal laho alaihi wa aalaihi
roze azal bol chuka khaaliq e akbar
khuld ki shay khuld se jaati nahi baahar
kaala libaas uske liye pehna hai hum ne
jiska libaas aaya tha jannat se zameen par
ye hum se mat poocho hamein nahi toko
hai dam to badlo ghilaaf e kaaba
ali o fatema ka laal hai ye
khuda ka laadla hussain
hussain hussain hussain ibne mohamed
sallal laho alaihi wa aalaihi
hamare ishq ki misaal karbala
hamara markazi khayaal ya hussain
pehli dafa godh mein jab tujhko uthaya
khud ko mohamed ne azadaar banaya
haye nana ke ashkon ko bhulaya nahi tu ne
haan deen e mohamed tha magar tu ne bachaya
ay aashiqane nabi aza mein aansu abhi
bahao kar lo mohamed se wafa
ali o fatema ka laal hai ye
khuda ka laadla hussain
hussain hussain hussain ibne mohamed
sallal laho alaihi wa aalaihi
aaqa mohamed ke gharane ka ye gham hai
majlis e shabbir mein aana ye karam hai
aur ye jo badi shaan se ghar ghar pe laga hai
aale mohamed ki nishani ye alam hai
alam uthaate raho ye gham manate raho
ali o fatema se lelo dua
ali o fatema ka laal hai ye
khuda ka laadla hussain
hussain hussain hussain ibne mohamed
sallal laho alaihi wa aalaihi
hamare ishq ki misaal karbala
hamara markazi khayaal ya hussain
ana majnoon al hussain
ana majnoon al hussain
tere hi matam mein fana hai meri hasti
karbobal hi to faqeeron ki hai basti
kaise samajh paye malango ko zamana
aql se baala hai tere ishq ki masti
ay saqi ibne saqi tu banata hai wali
hai ye shahbaaz qalandar ki sada
ali o fatema ka laal hai ye
khuda ka laadla hussain
hussain hussain hussain ibne mohamed
sallal laho alaihi wa aalaihi
iska lahoo mera lahoo hai
iska badan mera badan hai
iski aankhein meri aankhein
iska chalan mera chalan hai
ye qaul e nabi hai
kya kahe zeeshan o darvaish e aza
afsos yehi hai
jo mohamed ne kaha logon ne wo jhutlaya
haye mehmaan usay karbobala bulwaya
usko pani na diya uska ghar loot liya
zakhmi naize se kiya seena ali akbar ka
teer se ched diya nanha gala asghar ka
uska qasim na raha uska ghazi na raha
mar gaye aun o mohamed koi yawar na bacha
reh gaya dasht mein tanha wo ghareeb e zehra
wavaila wavaila wavaila wavaila
wavaila hussain hussain
wavaila hussain hussain
murtajis sawaar akela chala hussain
teer o tabar gurz se zakhmi hua hussain
itne sitam par bhi sambhalta raha hussain
maar ke naizon se giraya gaya hussain
wavaila wavaila wavaila wavaila
shimr e layeen shaah ke jab seene pe aaya
khaynch ke baalon se tamacha bhi lagaya
haath rakha maa ne bahot baar bachaya
haye magar kat gaya sar bach nahi paaya
shimr chala baalon se jab sar ko utha kar
fatema zehra ne kaha khaak udaa kar
wavaila hussain hussain
wavaila hussain hussain