Hussain imaam hussain
Hussain imaam hussain aye mere imaam hussain
Hussain imaam hussainaa, tashnakaam hussain
1) Hussain deen panah laailaaha illallah
Hussain haq ki baqa laailaaha illallah
agar hussain nahi deen ko baqa hi nahi
binaaye deene khuda hai tere naam hussain
2) Baqaaye deene khuda hai tumhaari qurbaani
tumhaare naam se zida hai doure eemaani
kiya wo sabr hui zulm ko paashemaani
aye shaahe karbobla ho tujhe salaam hussain
3) Payaame shaah karo aam har zamaane me
lutaaya shaah ne sab kuch ise bachaane me
panah dee'n ko mili hai isi gharaane me
jo zere teghbhi le bas khuda ka naam hussain
4) Meri najaat ki haamil hai ye azaadari
meri hayaat ka haasil hai ye azaadaari
hamaare khoon me shaamil hai ye azaadari
har ek hayaat ka lamha hai tere naam hussain
5) Jo alhe zulm hai sar kaise wo uthaaenge
kahi'n amaa'n na milegi jaha'n wo jaaenge
jo zulfeqaar ki zad par hai bach na paayenge
karega aake jo hujjat tera qayaam hussain
6) Ghame hussain ki zehno me tum ziya rakhna
lagaaye seene se tum qaake karbala rakhna
sajaaye parchame ghazi ko tum sada rakhna
karenge hashr talak gham tere ghulaam hussain
7) Kare ye zindagi ham se agar wafa hyder
hazaar baar karu jaan ye fida hyder
hussaini hone ka humko mile sila hyder
azaae shaah me ho saans ye tamaam hussain