Kanz e Aza

Hussain Jaanam

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Akhtar Abbas Zaidi. Lyrics in Roman Urdu.

mera hussain hai sab kuch naseeb kuch bhi nahi

sayyed zaada hussain shahzaada hussain

dilon ka badshaah aayat e kibriya hussain


salaam farmande farmande

salaam farmande ya hussain


jaanam hussain jaanam hussain

aah jaanam ya hussain


ya hussain salaam hussain

salaam hussain salaam hussain


salaam e dilbare zahra hussain jaan

salaam e kaabae dilha hussain jaan

hussain jaanam hussain jaanam hussain jaanam

hussain jaan...


ay shehenshah e zaman aqile hasan ya maula

tera deedar azadaar ki ulfat ka sila

usko dunya mein sab mila hussain jaan

jis ne ek baar bhi kaha hussain jaan

salaam e kaabae dilha hussain jaan

hussain jaan...


hasrate dil hai ke jab karbobala jaun mai

sajda e shukr karun khaake shifa laun mai

yabnaz zahra hussain qibla hussain jaan

ban ke naukar rahun tera hussain jaan

salaam e kaabae dilha hussain jaan

hussain jaan...


ek karam aur meri zaat pe maula kar de

aasmano se bhi aaye jo nazar wo ghar de

jis pe parcham lage tera hussain jaan

sadqa ghazi ka ho ataa hussain jaan

salaam e kaabae dilha hussain jaan

hussain jaan...


sogaye nehr pe abbas e jari bhi jaa kar

koi monis na raha paas na koi yawar

reh gaye dasht mein tanha hussain jaan

bar labe toh dilam fida hussain jaan

salaam e kaabae dilha hussain jaan

hussain jaan...


zeen se gir ke zameen par ye kaha akbar ne

zakhme dil aap se baba mai chupaun kaise

aake dekho mera seena hussain jaan

pisar et zakhmiye biyaa hussain jaan

salaam e kaabae dilha hussain jaan

hussain jaan...


sajda e shukr adaa aap ne maqtal mein kiya

sura e fajr se aane lagi awaaz e khuda

aaja meri taraf aaja hussain jaan

tujhse raazi tera khuda hussain jaan

salaam e kaabae dilha hussain jaan

hussain jaan...


mimbar e nok e sina par tera khutba sunke

saamne maaon ke rote rahe pyase bacche

khafila keh ke ye chala hussain jaan

toyi zikram hussain maula hussain jaan

salaam e kaabae dilha hussain jaan

hussain jaan...


akhtar o naade ali hai jise irfan e azaa

us se raazi hai qasam rab ki qasam janabe zahra

shukriya dilbar e zahra hussain jaan

shukriya kaabae dilha hussain jaan

hussain jaan...