haye hussain haye ghareeb
hussain ka dam e ruqsat ye tha sukhan zainab
chala mai ran ko khuda hafiz ay behan zainab
hai ab tumhare hawale tamaam ahle haram
ye honge baad mere qaidi e mehan zainab
hussain ka dame ruqsat...
chalega ab meri gardan pa shimr ka khanjar
rahegi laash meri ran mein bekafan zainab
hussain ka dame ruqsat...
bahot rulayenge zaalim meri sakina ko
galay mein uske bandhi jayegi rasan zainab
hussain ka dame ruqsat...
tadap tadap ke guzar jayegi wo zindan mein
kafan banega sakina ka pairahan zainab
hussain ka dame ruqsat...
lehad mein bhi na sukoon payega mera asghar
rahega naize pe sar khaak par badan zainab
hussain ka dame ruqsat...
aqeel qaimon mein ek hashr tha bapa us dam
kaha jo sheh ne khuda hafiz ay behan zainab
hussain ka dame ruqsat...