Kanz e Aza

Hussain ka Muslim

A noha for Hazrat Muslim (a.s), written by Naqsh Kazmi. Lyrics in Roman Urdu.

ghareeb hogaya kitna hussain ka muslim

hua hai kufe may tanha hussain ka muslim


wo darbadar sar e kufa hai mil nahi sakte

paraya shehr hai jaa kar unhe kahan dhoondein

hai apne bachon se bichda hussain ka muslim

ghareeb hogaya kitna...


kisi ne maare thay pathar kisi ke teer chale

to koi maar raha tha ghareeb ko naize

tab ek gaday may gira tha hussain ka muslim

ghareeb hogaya kitna...


ay ibne ziyad zaban ko lagaam de apni

ameer hussain ka naukar hai ye tujhe to kabhi

salaam tak na karega hussain ka muslim

ghareeb hogaya kitna...


layeen ne kaat ke sar chath se laasha phaynk diya

usay uthane ko jis dam koi nahi aaya

zameen pe zahra ne thaama hussain ka muslim

ghareeb hogaya kitna...


ay maula bas wahin ruk jao tum abhi ho jahan

hai kufe waale dagha baaz tum na aana yahan

khabar ye de nahi paaya hussain ka muslim

ghareeb hogaya kitna...


jab aaya khaafila kufe may ro padi farwa

jo dekha laasha e be-sar hai khoon aalooda

hai dar pe kufe ke latka hussain ka muslim

ghareeb hogaya kitna...


liya jo jayega khoon e hussain ka badla

ay naqsh lashkar e qaim badhega jab kufa

to saath ghazi ke hoga hussain ka muslim

ghareeb hogaya kitna...