Kanz e Aza

hussain kehte hai rokar mere ali akbar

A noha for Ali Akbar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Hussain kahte hai ro kar mere ali akbar

Mere jawaa'n mere dilbar mere ali akbar

1.qushi ke ansoo na rukte tere khad o sin par

Hai baap ke tu barabar mere ali akbar


2.mai kaise dunga ijazat batao aye beta

Tu hai shabi e payamber mere ali akbar


3.Diya hai izne weqa aur kaha ye akbar se

Zaroor dekho palat kar mere ali akbar


4.Tere biyaah ka armaa'n bohot hai sugra ko

Hai muntazar teri qaahar mere ali akbar


5.baghair tere na zinda rahunga ek pal bhi

Tu hai jawaa'n mere dilbar mere ali akbar


6.Sawaal karliya kaisa hussain se tu ne

Nahi hai paani mayassar mere ali akbar


7.Tere firaaq ne chini hussain ki aankhe

Hussain khaata hai thokar mere ali akbar


8.Zayeef baap ke aage jawaa ne dam toda

Hai barchi seene ke andar mere ali akbar


9.Jawan bete ka lasha hussain laate hai

Pukari laila tadapkar mere ali akbar


10.Tere firaaq me shabbir hogaya tanha

Bataao kya karu jeekar mere ali akbar


11.Tumhare baad mai kitna jiyu ga aye beta

Juda karenge mera sar mere ali akbar


12.Dua ye karte hai ammar naseraan e aza

Bulalo aap ke dar par mere ali akbar