ro ke boli hussain ki beti
baap beti se milne aata hai
poori hasrat hui sakina ki
baap beti se milne aata hai
sochti hoo ke apne baba se
neel kaise chupaun chehre ke
khauf aata to hai andheron se
phir bhi hai ilteja meri sab se
aaj roshan na ho diya koi
baap beti se milne aata hai
ro ke boli hussain ki...
jaise zainab phuphi ko dada ne
be-rida umr bhar na dekha tha
mere baba ne bhi sakina ko
aaj tak sar khule nahi dekha
kaash chadar kahin se mil jaati
baap beti se milne aata hai
ro ke boli hussain ki...
hai ye paywast meri gardan mein
khud mai isko hata nahi sakti
apne gardan bureeda baba ke
saamne yun mai jaa nahi sakti
koi gardan se khol de rassi
baap beti se milne aata hai
ro ke boli hussain ki...
jab mai milti thi apne baba se
baahein gardan mein haar karti thi
tan bureeda ka sar jo aayega
kaise gardan mein baahein daalungi
tera zarbon se hoke ab zakhmi
baap beti se milne aata hai
ro ke boli hussain ki...
yaad baysheer ki sataati hai
bhaiya akbar ki yaad aati hai
karbala waale kaise baste hai
kaise kat’ti hai bhai qasim ki
unse mai sab ka haal poochungi
baap beti se milne aata hai
ro ke boli hussain ki...
bain akbar thay ye sakina ke
aa rahe hai pidar mujhe lene
ek muddat se jaagi beti ko
loriyon se wo khud sulayenge
mujhko batla gayi hai khud daadi
baap beti se milne aata hai
ro ke boli hussain ki...