ran se wapas mere baba nahi aane waale
mujhpe ab saaye yateemi ke hai chaane waale
subho se dekh rahi hai ye sakina baba
ran may hai chaaron taraf phaila qaza ka saaya
laut kar zinda nahi aaye hai jaane waale
ran se wapas...
aap jis tarha mujhe seene laga kar roye
khaak pe jaise sakina ko sula kar roye
hai ye andaz yateemon ko sulaane waale
ran se wapas...
aap ne jab se hai rukhsat ka iraada baandha
jaane kyun dukhne laga hai mera chehra baba
neel jaise mere chehre pe ho aane waale
ran se wapas...
jaise khat ek chacha ibne mazahir ko likha
bhej kar khat mere khaatir hi bula le baba
reh gaye ho jo koi dost bulaane waale
ran se wapas...
aap ke seene se lagti hoo to yun lagta hai
zakhm hi zakhm hai zakhmon se lahoo behta hai
jaise is seene may hai teer samaane waale
ran se wapas...
meri chadar mere baalon se hataate kyun hai
rayt ka parda mere sar pe banaate kyun hai
kab rida karte hai yun sheh ke gharane waale
ran se wapas...
sheh se lipti hui kehti thi sakina akbar
ho na ho aap pe barsayenge aada mil kar
jitne pathar hai ye maqtal se uthaane waale
ran se wapas...