jab na aada se kisi tarha safayi tehri
subhe ashoor e moharram ko ladayi tehri
poocha zainab ne ke kya ay mere bhai tehri
sheh ne farmeina behan tum se judaai tehri
aaj pyaron se mulaqaat ghanimat jaano
ay behan aaj ki ye raat ghanimat jaano
aagayi shaam e ghariban ghar jalaane ke liye
subhe ashoora hui laashein uthaane ke liye
jab se zainab ne suna hai aagaye baba mere
dhoondti phirti hai chadar sar chupane ke liye
subhe ashoora hui...
baazu e ghazi agar kaafi nahi tujhko furaat
kya ruqayya aaye ab baazu katane ke liye
subhe ashoora hui...
khoone asghar se agar bujhti nahi teeron ki pyaas
khoon haazir hai sakina ka bujhane ke liye
subhe ashoora hui...
sar se chadar ka utarna maut zainab ki hai par
ab bhi zinda hai to abid ko bachane ke liye
subhe ashoora hui...
karbala ke baad asghar ke tabassum ke siwa
kya sabab bachta hai akbar muskurane ke liye
subhe ashoora hui...