Kanz e Aza

Veerani

A noha for Wapasi-e-Ahle Haram, written by Hasnain Akbar. Lyrics in Roman Urdu.

veerani


zainab ko aur rulaye

veeran gharon ki veerani


chalees gharon mein jaa jaa kar

kis kis ka sog manaye

veerani

zainab ko aur rulaye...


ek aangan mein umme salma

sughra ke aansu poche

dil par apne pathar rakh kar

bibi se aa kar bole

sughra uth jaa in raston se

ab koi nahi jo aaye

veerani

zainab ko aur rulaye...


ek aangan mein asghar ke liye

jalti hay dhoop mein dukhiya

ghar bhar ki nazar hai suraj par

kab waqt ghuroob ka hoga

aur maadar ko ye fikr hai ke

ye suraj doob na jaye

veerani

zainab ko aur rulaye...


ek aangan mein bemaar pisar

aankhon se khoon bahaye

bazaron ka har ek manzar

ashkon mein dhalta jaye

sajjad bohat saabir hai magar

ab kitna sabr dikhaye

veerani

zainab ko aur rulaye...


ek aangan mein fizza baithi

har lamha ye hi soche

jaa kar zehra ki turbat par

kya baat kaneez ye bole

kaise zainab darbar gayi

kya zehra ko batlaye

veerani

zainab ko aur rulaye...


ek aangan mein baithi hai maa

yaseen ka surah khole

wo zikre nabi ke lafzon mein

humshakle nabi ko dhoonde

rauze pe nabi ke aa jaye

jab yaad akbar ki aaye

veerani

zainab ko aur rulaye...


ek aangan mein abdullah aur

zainab baithe hai tanha

wo aun o mohamed ke gham mein

ek doosre ko de pursa

de daad pidar har hamle par

jab maadar jang sunaye

veerani

zainab ko aur rulaye...


kal tak akbar ek zehra thi

jo bain kiya karti thi

baba ki judaai ke gham mein

wo aahein bhara karti thi

aur aaj bani hashim ke makaan

sab baitul huzn hai haye

veerani

zainab ko aur rulaye...