Kanz e Aza

Zabaa pa zainabe bekas ki thi sada amma

A noha for Wapasi-e-Ahle Haram. Lyrics in Roman Urdu.

ZABAA'N PE ZAINABE BEKAS THI SADA AMMA...

Zabaa'n pe Zainabe bekas thi sada amma, Bas ek din me bhara ghar ujad gaya amma.

Tumhare laal ka lasha tha bekafan ran me, Tumhari beti ke sar par na thi rida amma.

Shadeed dhoop me tashnalabi ke alaam me, Hussain bhai ka kaata gaya gala amma.


Hassan ka laal tha Qasim misale mahe tamam, Ghareeb ghodo'n se pamaal hogaya amma.

Woh zulm tha ke zamee'n aur asmaa'n kaampe, Gala jo Asghare masoom ka chida amma.

Zayeefo bekaso mazloom baap ne badh kar, Jawaan bete ka lasha utha liya amma.

'Nawaaz' arzo sama hil gaye dam e aaqir, Labe Hussain pe jis dam thi ye sada amma...