gire thay zeen se jis dam zameen par akbar
tadap rahe thay yehi wan soch kar akbar
chacha ke sadme mein baba ki jhuk gayi hai kamar
chupana hoga mujhe unse apne zakhme jigar
na mujhko khoon mein tar dekh payenge baba
mere janaze ko kaise uthayenge baba
ragadna aediyan mera bhula na payenge baba
zaeefi mein mera laasha utha na payenge baba
zaeefi mein mera laasha
utha na payenge baba
ragadna aediyan mera
bhula na payenge baba
na jaane kis tarha maqtal mein
mujhko dhoondte honge
nazar aata na hoga kuch
sadayein de rahe honge
taraayi se chacha ko bhi
bula na payenge baba
zaeefi mein mera laasha...
mai hamshakle payamabr hoo
mere baba ye kehte thay
dua har roz seene se
laga kar mujhko dete thay
laga kar aaj seene se
hata na payenge baba
zaeefi mein mera laasha...
mujhe dam tod'ta haathon
pe kis tarha se dekhenge
mere seene se barchi ko
wo kis tarha se khaynchenge
kisi ko haal e dil apna
bata na payenge baba
zaeefi mein mera laasha...
khuda jaane ke qaime tak
wo kaise le ke jayenge
meri maa ko meri mayyat
pe wo kaise bulayenge
mera khoon se bhara chehra
dikha na payenge baba
zaeefi mein mera laasha...
phupi amma dar e qaima
pe raahein tak rahi hongi
mere jeene ki wo ab bhi
duayein kar rahi hongi
mera zakhmi seena un se
chupa na payenge baba
zaeefi mein mera laasha...
bahot armaan tha maa ko
meri shadi rachane ka
mujhe dulha banane ka
meri dulhan ko laane ka
mere sar par magar sehra
saja na payenge baba
zaeefi mein mera laasha...
qayamat ka tha wo manzar
khat e sughra tha laashe par
shahe deen ka tha ye nauha
jawan bete ke laashe par
tumhe akbar se ab sughra
mila na payenge baba
zaeefi mein mera laasha...
nazar ke saamne thi shadman
laashe ali akbar
qayamat hogayi barpa
kaha jab shaah ne ro kar
zaeefi mein tera laasha
utha na payenge baba
zaeefi mein mera laasha...