Kanz e Aza

Betiyan Ro Rahi Hai

A noha for Imam Ali (a.s), written by Adil Nazar. Lyrics in Roman Urdu.

khoon se tar hogaya hai musalla

betiyan ro rahi hai ali ki


dekh kar zakhmi baba ka chehra

betiyan ro rahi hai ali ki


baap hota hai jiska salamat

beti hoti hai wo shaahzadi

soch kar dil hua paara paara

betiyan ro rahi hai ali ki

khoon se tar hogaya...


haath zainab ke sar par rakha aur

keh ke itna hi maula bhi roye

bas salamat rahe tere parda

betiyan ro rahi hai ali ki

khoon se tar hogaya...


kar ke beton ko saari wasiyat

hogaye maula dunya se ruqsat

aagayi dene zehra dilaasa

betiyan ro rahi hai ali ki

khoon se tar hogaya...


peet ke sar koi ro raha hai

koi baba ka moo choomta hai

gham mein dooba hai saara gharana

betiyan ro rahi hai ali ki

khoon se tar hogaya...


saara kufa hi nauha kuna hai

ghar mein zahra ke matam bapa hai

uth raha hai ali ka janaza

betiyan ro rahi hai ali ki

khoon se tar hogaya...


le ke ghar se chale jab janaza

ye dua lab pe ghazi ke aayi

jeete jee mai na dekhun dubara

betiyan ro rahi hai ali ki

khoon se tar hogaya...


boli zainab mujhe de do bhaiya

mere baba ki koi nishani

ho musalla aba ya amama

betiyan ro rahi hai ali ki

khoon se tar hogaya...


dekh lene nazar har kis ka

haath matam ko khud hi uthega

shadman jab padhega ye nauha

betiyan ro rahi hai ali ki

khoon se tar hogaya...