Kanz e Aza

Chaman Chaman Kali

A noha for Imam Ali (a.s), written by Mehshar Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

chaman chaman kali kali ali ali ali ali

mera shahe zaman ali jari o bu shikan ali

shareeke panjatan ali charaghe anjuman ali

khuda ka kaun hai wali ali ali iali ali

chaman chaman kali kali…


ali ka daaye khambari ata kare qalandari

ali hai faqre buzari hai jiska naara hyderi

shehr shehr gali gali ali ali ali ali

chaman chaman kali kali…


ali khuda ki shan hai rasool ki zaban hai

ibatado ki jaan hai bilal ki azan hai

namaz jisme hai dhali ali ali ali ali

chaman chaman kali kali…


wo aql bhi shaoor bhi wo ghaibat o zahoor bhi

wo mustufa ka noor bhi wo noor ka ghurooro bhi

hai jiski zaat munjali ali ali iali ali

chaman chaman kali kali…


wo lashkar e sipaah bhi kahin wo baadshah bhi

karam ki baargah bhi hamari sajdagah bhi

ye kehke har bala tali ali ali ali ali

chaman chaman kali kali…


zameen pe bu turaab hai falak pe aaftab hai

khuda ka inteqab hai jahan may la jawab hai

khuda ka naam bhi ali ali ali ali ali

chaman chaman kali kali…


wo taygh ki chamak bhi hai wo deen ki kumak bhi hai

wo deen ka falak bhi hai nusairiyo ka shak bhi hai

kisi ka hai mahabali ali ali ali ali

chaman chaman kali kali…


wo deen ka viqar hai khuda ki zulfiqar hai

wo adl ki pukar hai wo aisa taajdaar hai

malak ne jiske aur dhali ali ali ali ali

chaman chaman kali kali…


zameen bhi hai zaman bhi hai makeen bhi hai makan bhi hai

ayan bhi hai niha bhi hai yahan bhi hai wahan bhi hai

rasool ka hai mursali ali ali ali ali

chaman chaman kali kali…


namaz hai wazu hai tu khuda ki guftuga hai tu

aza ki aabroo hai tu hamari justujoo hai tu

likha najaf ki har gali ali ali ali ali

chaman chaman kali kali…


khuda ka ehteraam ho rasool ka nizam ho

ali ka intezam ho durood ho salam ho

sada ho ye gali gali ali ali ali ali

chaman chaman kali kali…


wo mustufa ka ja-nasheen dua e mehshar e hazeen

kiya hai laaj jab kahin madad ko aa gaye wahin

saynjali saynjali ali ali ali ali

chaman chaman kali kali…