chaman chaman kali kali
nagar nagar gali gali
kahin khafi kahin jali
wohi wasi wohi wali
pukara jab bala tali
ruki thi nafs jo chali
ali ali ali ali ali ali
waqt ka imam hai ali
khud khuda ka naam hai ali
kahin nazar kahin gohar kahin dua
kahin asar kahin khabar
ali ali ali ali ali ali
chaman chaman...
aasman pe jab gaye nabi
tha wahan bhi lehjaye ali
haram haram iram iram zameen zameen
arab arab ajam ajam
ali ali ali ali ali ali
chaman chaman...
izn se tere hawa chale
tujhse pooch kar diya jale
imame haq nizaame haq usoole haq
kaleeme haq kalaame haq
ali ali ali ali ali ali
chaman chaman...
mil gaya jo hukme bu-turab
aagaya palat ke aaftab
dua bhi tum ataa bhi tum yaqeen ki
ibteda bhi inteha bhi tum
ali ali ali ali ali ali
chaman chaman...
kayenat ka sha'oor hai
kirdigaar ka ghuroor hai
likho ali padho ali nafas nafas
kaho ali suno ali
ali ali ali ali ali ali
chaman chaman...
sab turab tum abu-turab
tum har ek sawaal ka jawab
seher mein tum qamar mein tum
yaqeen mein tum safar mein tum hazar mein tum
ali ali ali ali ali ali
chaman chaman...
taal'te ho sab ki mushkilaat
tum chala rahe ho kayenat
umang bhi tarang bhi
pukare baadhshah bhi malang bhi
ali ali ali ali ali ali
chaman chaman...
kufe ki nazar badal gayi
murtuza pe taygh chal gayi
wo shor utha ghazab hua
ay momino manao gham karo aza
ali ali ali ali ali ali
chaman chaman...
ay jalaal e khandaq o hunain
ek nazar ho jaanib e hussain
tera chaman hai be-kafan
lute haram chini rida bandhi rasan
ali ali ali ali ali ali
chaman chaman...
aamir aur nayyar e ghareeb
tere nauha khwan tere khateeb
karam bhi tu qasam bhi tu
zaban bhi tu sukhan bhi tu qalam bhi tu
ali ali ali ali ali ali
chaman chaman...