Kanz e Aza

Ek Zuljana Ek Zulfiqar

A noha written by Nayyar Jalalpuri. Lyrics in Roman Urdu.

ek zuljanah hai ek zulfeqar hai

hain ek taygh imam ki ek rahwaar hai


utri hai tayg arsh se quran ki tarha

tehra faras hawa pe suleman ki tarha

khaadim thi wo ali ki jo salman ki tarha

is par saware dosh e mohamad sawaar hai

ek zuljanah hai...


talwar chand banke chamakti thi raat mein

duldul haseen lagta tha maula ke saath mein

talwar zeb deti thi hyder ke haath mein

saaya abu turab ka duldul ka haar hai

ek zuljanah hai...


choomi hai zulfeqar ne maula ki ungliyan

duldul ka jism chooti thi hyder ki aediyan

bal deti thi jo usko ali ki kalaiyan

gardann pe uske daste khuda ka dulaar hai

ek zuljanah hai...


talwar jiske moo ko dhulati thi fatema

rehwaar jisko ran mein khilaate thay murtaza

zehra jo zulfeqar ko karti thi aaina

maathe pe uske paa e ali ka ghubaar hai

ek zuljanah hai...


talwar kaat'ti thi agar zulm ki kamar

ghode ki taap tod'ti thi sarkashon ke sar

be izn zulfeqar ki uth'ti na thi nazar

rehwaar bhi ali ka ita'at shiyaar hai

ek zuljanah hai...


duldul bhi apni shaan mein rafraf se kam nahi

talwar mein to kham hai jalalat mein kham nahi

raftaar uski choo le hawaan mein dam nahi

is par har ek fath ka daar o madaar hai

ek zuljanah hai...


dono hai kaarkhaana e khudrat ke shaahkaar

dono ali ke paak gharane ke gham gusaar

asghar se wo ye bali sakeena se sharm saar

wo soghwaar ye bhi bahot soghwaar hai

ek zuljanah hai...


mastoor hai imame zaman chup hai kayenat

gardan mein hai ali ki rasan chup hai kayenat

lut'ta hai fatema ka chaman chup hai kayenat

roti hai tayg nauha kuna rahwaar hai

ek zuljanah hai...


karbobala mein pyaas na dono ki bujh saki

ashoor ko na poochiye ghode ki tashnagi

kya ser hoti taygh saron ki rahi kami

dono ki rooh aaj talak beqaraar hai

ek zuljanah hai...


talwaar jisko nanhi lehad khodni padi

ghoda wo hai sawaar hui jiski waapsi

baage kati hui thi to zeen thi dhali hui

poochegi ab sakina kahan sheh sawaar hai

ek zuljanah hai...


lab parr hai ab ye nayyar o aamir ki ilteja

ay waaris e hussain sabab dayr ka hai kya

phir taygh o zuljanah ko ghaibat se le ke aa

dono ka karbala ko bahot intezar hai

ek zuljanah hai...