ye kehte hai maqtal se ab bhi shahe abraar
haq baat pe mar jaana ay mere azadaar
hal min nasirin yansurna
jaan gawa dena izzat na gawana
dekho mera sajda tum bhool na jaana
tum hi to ho mere maqsad ke alamdaar
hal min nasirin yansurna...
rakhna nigahon mein abid ki aseeri
haathon mein hathkadiyan aur paon mein bedi
hona jo zamane ki musibat mein giraftaar
hal min nasirin yansurna...
rona jawano tum akbar se jawan ko
bhool nahi jaana awaaz e azan ko
ban jaana zamane mein islaam ka kirdaar
hal min nasirin yansurna...
haye ye majboori haye ye ghareebi
baap ne khud bete ki qabr banayi
hilti thi zameen ran ki jab roti thi talwaar
hal min nasirin yansurna...
rakhna hifazat mein behno ki ridayein
tumko khuda bakshe us sar ki wafayein
wo sar ke jo naize se gir jaata tha har baar
hal min nasirin yansurna...
saamne abid ke tha hashr ka manzar
balwe mein zainab thi be maqna o chadar
tum bhool nahi jaana wo shaam ka bazaar
hal min nasirin yansurna...
padta hua nauha karta hua maatam
dard liye dil mein aur haath mein parcham
yun aayega ghaibat se dunya ka nigehdaar
hal min nasirin yansurna...
shayar o zakir ho ay nayyar o aamir
haan tum mere nasir ho ay nayyar o aamir
abbas mera hoga tum sab ka madadgaar
hal min nasirin yansurna...