Kanz e Aza

Hamara Ansu Hussain

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Alamdar Hashmi. Lyrics in Roman Urdu.

jo aati hai majlis mein maa sayyeda

wo ro ro ke deti hai humko sada

meri aarzu shehwan o shain hai

hamara aansu hussain hai


mohamed ke dil ka yehi bain hai

hamara aansu hussain hai

dil e fatema ka yehi bain hai

hamara aansu hussain hai


ye teri shahadat hai kitni azeem

ke kehna pada rab ko tu hai kareem

imamat ki tu zaib hai zain hai

hamara aansu hussain hai


shahadat ka jis dam suna waqia

tadap kar ye adam ne rab se kaha

ye dil mera rone ko bechain hai

hamara aansu hussain hai


allah koi gham na de

siwaye ghame hussain


hue khalq ko rone ko rote hai hum

in ashkon ko chehro se dhote hai hum

najaat aansuon ke hi maa bain hai

hamara aansu hussain hai


sitamgar se zahra ne ro kar kaha

tu sukhe galay par na khanjar chala

ye sibte nabi shaan e harmain hai


atash ki hai shiddat hai sookha gala

yehi zibha karta hai kyun be-khata

labe fatema par yehi bain hai

hamara aansu hussain hai


lagi aag qaimon mein baad e pidar

hai sajjad ghash mein pade khaak par

sakina ke honton pa ye bain hai

hamara aansu hussain hai


tamache sitamgar ne maara hussain

sukoon hai na din mein hai raaton ko chain

sakina ki aankhein hai aur rayn hai

hamara aansu hussain hai


dil e hashmi ki hai ye arze gham

ke rauze pe rote hue nikle dam

labon par jo irfan ke bain hai

hamara aansu hussain hai