ashoor ko maqtal mein thi sada
hamein raas na aayi karbobala
kehti thi bilak kar ek dukhiya
ashoor ko maqtal mein thi sada
hamein raas na aayi karbobala
ay paalne waale mujhko bata
zaanu pe sar hai bete ka
jise pees ke chakki paala tha
jibreel ne jhoola jhulaya tha
ab shimr ka khanjar sookha gala
lete thay rasool allah bosa
hamein raas na aayi...
kis shaan se kunba aaya tha
mera sher sameinta laaya tha
baazu jo kate mashkeeza chida
sota hai taraayi pe tanha
jo bhai ko kehta tha aaqa
dunya na dekhi aisi wafa
hamein raas na aayi...
barchi khaa kar akbar ne kaha
jab teer lag asghar ne kaha
jab gurz laga ghazi ne kaha
taqseeem huwe qasim ne kaha
ek baat rulaati hai aaqa
maa behne hongi beparda
hamein raas na aayi...
ghere huwe fauj e baatil hai
baba seene par qatil hai
ye zulm ki kaunsi manzil hai
ek maa pe kitni mushkil hai
ye beta aap hi ka dil hai
jise dekh ke rota saahil hai
hamein raas na aayi...
ye arsh e bari se aayi sada
ay mere pyase laut ke aa
raazi hai tujhse tera khuda
waada jo kiya tha poora hua
phir shimr ke khanjar ne ye kaha
mai haara jeeta sabr tera
hamein raas na aayi...
ay bibi mohsin ki hai dua
zinda rahe matamdaar sada
aur hota rahe nauha tera
nazron mein rahe bas karboabala
bachpan se hamein ye dars mila
bakshish ke liye hai ashk e aza
ab dedo hussain ka kuch sadqa
hamein raas na aayi...