Kanz e Aza

Hamsheer Ko Chadar

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Ali Jaweed Maqsood. Lyrics in Roman Urdu.

hamsheer ko chadar hai na bhai ko kafan hai

shabbir sa bhai hai na zainab si behan hai


kis zulm se maara gaya zehra ka dulaara

sar naize par aur rayt pa majrooh badan hai

hamsheer ko chadar hai...


jis ke liye aati rahi jannat se khabayein

laasha usi mazloom ka mohtaj e kafan hai

hamsheer ko chadar hai...


be-dast hua nehr par abbas e dilawar

yun zainab e dilgeer ki haathon mein rasan hai

hamsheer ko chadar hai...


tukde hui maidan mein tasveer e payambar

paighambar e islam ka sad paara badan hai

hamsheer ko chadar hai...


ab koi nahi naaz uthaane ko sakina

bas jor o jafa zulm o sitam ranj o mahan hai

hamsheer ko chadar hai...


bikhra hua maqtal mein hai ek raat ka dulha

bewa jo bani hai wohi ek shab ki dulhan hai

hamsheer ko chadar hai...


pyasa tha dam e qatl jo cheh maah ke sin mein

asghar sa zamane mein koi tashna dahan hai

hamsheer ko chadar hai...


maajaye ne sar de diya maajayi ne chadar

esaar mohamed ke gharane ka chalan hai

hamsheer ko chadar hai...


kaano ka lahoo jis pe hai durron ke nashan hai

kurta wohi masoom sakina ka kafan hai

hamsheer ko chadar hai...


aati hai dar o baam se rone ki sadayein

jaawed bada dard bhara tera sukhan hai

hamsheer ko chadar hai...