nauha ruqayya ka tha haye ghareebul watan
deti hoo kab se sada haye ghareebul watan
pyar jo sheh ne kiya boli ruqayya chacha
baba ko kya hogaya haye ghareebul watan
nauha ruqayya ka tha...
sar ko jhukaye hussain kehte thay ay noor e ain
deen pe hua wo fida haye ghareebul watan
nauha ruqayya ka tha...
kufe may paaya na chain haye safeer e hussain
kufiyon ne ki dagha haye ghareebul watan
nauha ruqayya ka tha...
wo aa ke ghar may ruke sajda e haq may jhuke
karte thay bas ye dua haye ghareebul watan
nauha ruqayya ka tha...
aaye na kufa imam sadqe ho unpar ghulam
kehta tha ye bawafa haye ghareebul watan
nauha ruqayya ka tha...
dhoke se ghera usay rassi se jakda usay
qaidi bana soorma haye ghareebul watan
nauha ruqayya ka tha...
sheh ko kiya yun salam hum to huwe ab tamam
waali tumhara khuda haye ghareebul watan
nauha ruqayya ka tha...
hukme sitamgaar par kaata hai muslim ka sar
be-kafan laasha raha haye ghareebul watan
nauha ruqayya ka tha...
paayi jo sheh ne khabar kehte thay sar peet kar
mar gaya aashiq mera haye ghareebul watan
nauha ruqayya ka tha...
suniye akif o aijaz aah o fughan ki awaaz
kehte thay ahle aza haye ghareebul watan
nauha ruqayya ka tha...