shor tha ashoor ko
haye hussain haye hussain
zehra ki fughan haye hussain
abbas ke baazu haye hussain
asghar ka gala haye hussain
zainab ki rida haye hussain
ashoor ko waqte asr sada
deta tha manadi khaaliq ka
chinti hai sare zainab se rida
ro ro ke ye kehti hai dukhiya
haye hussain...
humshakle nabi farzande jawan
wo pyaas may tar lehja wo zaban
takbeer may wo andaz e bayan
ashoor ke din akbar ki azan
haye hussain...