kamsin gaye zaeef gaye naujawan gaye
manzil bahot kathin thi magar natawan gaye
abbas ran mein aate hai ab khairiat nahi
mehsoos ho raha hai zameen aasman gaye
kamsin gaye zaeef gaye...
dene gawahi asha-duan-la-ilaah ki
islam par jo waqt pada bezaban gaye
kamsin gaye zaeef gaye...
asghar ko sughra karti hai shayad watan mein yaad
qaime se ran mein lete huwe hichkiyan gaye
kamsin gaye zaeef gaye...
waqt e jihaad ye bhi tha ehsaas shaah ko
humlo ki daad kaun de sab khadradaan gaye
kamsin gaye zaeef gaye...
aelaan e fatha karte huwe sibte mustufa
sar kat gaya to bar sare nauke sina gaye
kamsin gaye zaeef gaye...
sajjad karbala se chale thay bukhaar mein
ta shaam phir bhi pehne huwe bediyan gaye
kamsin gaye zaeef gaye...
anwar ghame hussain ke sadqe mein ab talak
izzat hui naseeb hamein hum jahan gaye
kamsin gaye zaeef gaye...